Friday, November 16, 2018

GRANDMA MOSES AND ME | HINDI

              Ab bahut der ho gayi he , aur meri umar bhi ,nirantar ye khayal mere dimag me jaise ghar kar gaye thhy ..meri shadi aur mera carrier ek hi samay par samapt hone ki wajah se me niarasha ki aur chal padi,puri tarah se apni life se har chuki ..ek author ban ne ki meri tivra ichha hone ke baad me me apne aap par shak karne lagi , apni kabiliyat par ,apne dil par aur usme jo ichhaye he unpar bhi , mujhe ye vishvas ho gaya tha ki ab kuch nahi ho sakta . meri life ki nauka na jane kis mod par akar ruk gayi thi .ye jante hue bhi ki mujhe kis disha me jana he mere hath jaise sunn pad gaye the..Shayad mene apne kimti saal aise kisi goal ke pichey barbad kar diye jo kabhi mera tha hi nahi ....mere hatho se waqt ki ret pisal rahi thi ...mene apna waqt barbad kar diya.....
Photo by Jacqueline Day on Unsplash

Jab me depression ki sabse akhri aur faisle wali ghadi me thi , jab mere dimag ne kam karna 
band kar diya tha, Tab radio par mene awaj suni jisne GRANDMA MOSES ki kahani sunana shuru hi kiya tha .ANN MARY MOSES apne ghar se nikal ayi jab vo sirf 13 sal ki thi .unhone 10 bachho ko janam diya jin me 5 ko vo bht hi apni prabal ichha aur kadi mehnat ke dum par jeevit rakh payi , vo kisi garib farm par kam karti aur apni dincharya chlati..har vo din ek nayi samasya ke sath ata ..par itne muskil halato me bhi vo canvas par embroidering karne k liye nikal leti thi.

                                                                                Photo by Annie Spratt on Unsplash


Jab vo 78 years ki hui to unke fingers needle pakdne ke liye bht jyada kamjor aur akad gaye thhy.
par har manna unki fitat me na thaa..unhone barn ke nahar akar pait karna shuru kiya .Masonite panels par unhone shaandar dhang se raangin , desh ke jeevan ke satik aur vistrit drishya(paintings) banaye ..Pehle do saalo me unke banye paintings ko  becha gaya tha .Par 79 varsh ki hone par vo art work dwara khoji gayi ...aur uske baad unhone history banayi. Grandma ne 2000 se bhi jyada paintings banaye aur ek book bhi likhi gayi .
Twas the night Before Christmas unke 100th saal pure hone par complete hui..

Photo by Annie Spratt on Unsplash


Me ye sab sun rahi thi , mene mun badal liya . samay ki ret ab mere hatho me nahi meri sandclock me thi . mujhe ab pata tha mujhe apna waqt kaha dena he . jaha se mene sab chhod diya tha wahi se meri ek nayi shuruat honi thi , Jab Grandma moses apna naya carrier shuru kar sakti he jab vo 70 sal se bhi jyada umar ki thi . Jab vo apni life me sucessfull ho sakti he jab vo 80 ki hui, meri life mea bhi bhi ummid he jab ki me sirf 30 sal ki hu ..
Radio par chalne wale us program ke khatam hone se pehle hi mene apnw computer par kam karna shuru kar diya tha , vo novel jo mene lagbagh chhod hi di thi .

8 mahine baad meri novel publish hui ...




( based on true story of Liah Kraft-Kristaine)



No comments:

Post a Comment

how to be confident

Embracing Conour Inner con fidence: Unleashing p otential Introduction: Confidence is like a superpower that can transform your life in rem...