Sunday, November 25, 2018

IN HURRY | HINDI | RICH MINDSET BLOGS

      Jab aap apne bachhe ko rainbow dikha rahe hote he tab aap ka work aap ka wait kar sakta he par jab aap work kar rahe hote he tab rainbow aap ka wait nahi karega .
                                                                                - Patrica clafford


               me jaldi me thi .
apne sabse achhey suit pehne hui me rat ko hone wali meeting ke liye ready ho rahi thi. Gillian, mera 4 saal ka beti uske favorite gaano me se ek ,"cool," jo ki west side stories me se tha us par dance kar raha tha.
                     me jaldi me thi, late hone ki deri hone ke bavajud bhi mere andar se ek awaj ayi ,STOP!!
toh me ruk gayi .mene uski taraf dekha. uska hath pakda and use pyaar se utha kar ghumaya. Meri 7 saal ki beti Caitlin, humare pass ayi aur hum me shamil ho gayi, mene use bhi pakad liya aur uske sath bhi khelne lagi.  hum 3no dining room aur leaving room me wild jitterbug (1940 ke dashak me ek tez aur lokpriya dance style) kar rahe the. Hum hasi se lot pot ho rahe the zor zor se awaj karte hue pure ghar me ghoom rahe the.kahi humare padosi hume aise shorgul karte hue na dekh le , iski hume koi parvah nahi thi. vo gaana ek natakiya dhang se khatam hui aur humara dance bhi usi natkiy dhang se hume khatam kiya. mene unhe pyaar se ek thapki dete hui unhe nahane bhej diya.

                     Vo sidiyo par gaye . zor zor se saas lete hue vo divaro se lag kar haste hue chale gaye .Me fir se apne adhure kam me lag gayi. me kuch zarurui kagaj apne brifcase me rakhne lagi tabhi mene awaj suni, vo ,meri sabse choti beti thi jo apne badi behen se kaha,"Caitlin, tumhe nahi lagta ki mommy sabse best he ?
                     Me dang reh gayi jeewan ko safal karne ke is sangharsh me me kitna paas agayai thi , meri nazar un sab chijo par padi un yado par , un sab puraskaro par jo mene kamaaye the , divaro par lage un pramanpatro par jo mene arjit kiye the ...ye un sabhi puraskaro me se sabse bada puraskar tha .."tumhe nahi lagta ki mommy sabse best he ?"
                   meri beti ne ye kaha jab vo 4 saal ki he , mene kabhi ummid nahi ki thi ki vo ye apne 14 ve saal me kahegi . balki uske 40 ve saal me jab vo nichey jhuk kar pine box ke samne ek good bye ke sath ye kahegi meri soul se ..jab shayad me sun bhi  na pau ... par usne ye 4 sal ki umra me kaha ..sayad yahi meri sabse mahatwapurn praman patra he ..

                ye mere resume me fir na ho but me ye mere tomb stone par chahti hu .
                    

Thursday, November 22, 2018

BE A QUEEN | HINDI

"BE A QUEEN"

Photo by Pro Church Media on Unsplash

      Be a queen .duniya se alag ,apni khud ki pehchan banao.ek agrani bano. ek leader bano , ek aisi mahila bano jo mushkilo ke bavajud jeevan ko gale lagayegi aur chunautiyo ki oor nidarta se chalegi.sach ko dhundne wali satyaanveshi bano.aur har us jagah par shasan karo .chahe vo aap ka ghar ho , chahe aap ka office ya fir aap ka parivaar ,pyar bhare dil se un par raaj karo. 

Be a Queen .ek mahila hone ke nate naye aap me ek aise visheshta he jo aur kisi me bhi nahi ek nayi jaan ko janam deni ki , is baat par garv karo. naye ideas ,naye goals , naye vicharo ko duniya me lekar aao .
             meri yahi prarthna he ki humare jaise koi bhi mahila apne sansarik jeevan me se thoda waqt apne liye bhi de, aap me duniya badalne ki taqat he ...itihaas is baat ka gavah he ki ek mahila ne hi hamesha is dharti par kranti layi he ya to us ki wajah bani he..darsheniko ke dwara ikaatta ki gayi jankari ke hisab se Aag ki  khoj bhi ek mahila ne ki thi , isliye aaj bhi bht se desho me aag jalane se pehle pati apne patni se puchte he ..
             Hum Queen he hum yaha sikhate he ki love kya hota he ,aur kaise kiya jata he .is se koi fark nahi padta ki aap kon he kaha se aye he , aap ke matapita kon he .aur na hi aap ki samajik aur arthik stithi maayne rakhti he. kya maayne rakhta he ki aap kaise pyaar karna chun te he , aap use kaise vyakt karna chun te he . aap ke parivar ke madhaam se , aap ke duniya ko dekhne ke nazariae se aap is samaj ko kya dena chahte he.

Be a Queen.apni shaktia aur apni mahima ki malik bano. Ek queen nazaria rakhna thoda muskil ho sakta he , ek queen kisi ko shaap  nahi deti vo adesh deti he un sabko jo uske pass hote he , samasya se leakar samadan tak sab ussi ka hota he vo apne aap se shuruaat karti he . pehle khud badalti he aur fir jo uske aas pas ke logo ko .me jis Queen ki baat kar rahi hu , "walse ki rajkumari diana" ek sacche taur par logo ki rajkumari thi. 

Ek vinamra school teacher aur duniya sabse prasidhha mahilao me se ek , Diana me sundarta ki bht si chattaye thi.unki vinamrata aur kritadnata ka ravaiyya ke charche hi sab jagah mashoor he .unhone sabse pehle aur sabse khas logo ki madat ki. vo ek British shahi parivaar ki sadasya thi aur fir bhi unhone AIDS se pideet logo ko gale se lagaya aur santvana di.
          Vo apne tathya par dhaay dene ke liye land mines me chali gayi , vo apne upastithi ka istemaal karke dusro ko uuncha uthane par jor deti thi aur sahahyta bhi karti thi .aisa karne se vo ek asli Dil ki Queen ban gayi thi,
         Humara astitva hi humari pehchaan ban sakti he , keval apni upasthiti se hi hum dunia me ek naya badlav la sakte he ....bas har subha apne aap se kaho ...  I AM THE QUEEN




( NOTE- prastut blog intenet par uplabhdha jankari par adharit he , ager aap aur adhik jankari pana chahte he to hume instgram par direct msg kar sakte he...dhanyawad)

Wednesday, November 21, 2018

JUST IN TIME | HINDI VERSION | RICH MINDSET

Photo by Charlie Deets on Unsplash
               Waqt tha raat ke 11:30 , ek African-American mahila alabama highway ke kinare khadi thi
jo ek joro se hone wali lagatar barsaat ka samna kar sahi thi ,uski car kisi wajah se toot gayi thi thi aur use us waqt ek savari ki jaruat thi.puri tarah se bhigne ke baad akhir usne  ane wali car ko awaj dekar madat mangne ka faisla liya . ek american jawan admi ne car roki aur uski madat karne ke liye agay aya , aam taur par 1960s ke dauran aisa bht hi kam sun ne me aya karta tha.
             Americi admi ne use apni suraksha me le liya use ek taxi me bithaya , halaki vo mahila kafi jaldi me thi , us admi ne apna pata likha aur chala gaya .

Photo by Alessandro Morra on Unsplash
7 din baad admi ke darwaje par dastak ayi. uske samne ke surprise tha ek bada combination console colore TV aur ek stereo record player uske ghar ek note ke sath deliver hua


                                                                NOTE

         Dear mr.james :
                                         us raat meri sahayta karne ke liye bahot bahot dhanyawad ,us raat barish me mere kapde hi nahi balki meri aatma bhi doob gayi thi . tabhi aap aye aur sirf aap ki wajah se me apne  pati ke paas pohach payi jab usne apni akhri saans li...aap ne niswarth hokar meri madat ki aur na jane mere jaise kitno logo ki aap ne madat ki hogi ...god bless you

Sincerely,
Mrs.Nat King Cole







(note - based on true story)

Friday, November 16, 2018

GRANDMA MOSES AND ME | HINDI

              Ab bahut der ho gayi he , aur meri umar bhi ,nirantar ye khayal mere dimag me jaise ghar kar gaye thhy ..meri shadi aur mera carrier ek hi samay par samapt hone ki wajah se me niarasha ki aur chal padi,puri tarah se apni life se har chuki ..ek author ban ne ki meri tivra ichha hone ke baad me me apne aap par shak karne lagi , apni kabiliyat par ,apne dil par aur usme jo ichhaye he unpar bhi , mujhe ye vishvas ho gaya tha ki ab kuch nahi ho sakta . meri life ki nauka na jane kis mod par akar ruk gayi thi .ye jante hue bhi ki mujhe kis disha me jana he mere hath jaise sunn pad gaye the..Shayad mene apne kimti saal aise kisi goal ke pichey barbad kar diye jo kabhi mera tha hi nahi ....mere hatho se waqt ki ret pisal rahi thi ...mene apna waqt barbad kar diya.....
Photo by Jacqueline Day on Unsplash

Jab me depression ki sabse akhri aur faisle wali ghadi me thi , jab mere dimag ne kam karna 
band kar diya tha, Tab radio par mene awaj suni jisne GRANDMA MOSES ki kahani sunana shuru hi kiya tha .ANN MARY MOSES apne ghar se nikal ayi jab vo sirf 13 sal ki thi .unhone 10 bachho ko janam diya jin me 5 ko vo bht hi apni prabal ichha aur kadi mehnat ke dum par jeevit rakh payi , vo kisi garib farm par kam karti aur apni dincharya chlati..har vo din ek nayi samasya ke sath ata ..par itne muskil halato me bhi vo canvas par embroidering karne k liye nikal leti thi.

                                                                                Photo by Annie Spratt on Unsplash


Jab vo 78 years ki hui to unke fingers needle pakdne ke liye bht jyada kamjor aur akad gaye thhy.
par har manna unki fitat me na thaa..unhone barn ke nahar akar pait karna shuru kiya .Masonite panels par unhone shaandar dhang se raangin , desh ke jeevan ke satik aur vistrit drishya(paintings) banaye ..Pehle do saalo me unke banye paintings ko  becha gaya tha .Par 79 varsh ki hone par vo art work dwara khoji gayi ...aur uske baad unhone history banayi. Grandma ne 2000 se bhi jyada paintings banaye aur ek book bhi likhi gayi .
Twas the night Before Christmas unke 100th saal pure hone par complete hui..

Photo by Annie Spratt on Unsplash


Me ye sab sun rahi thi , mene mun badal liya . samay ki ret ab mere hatho me nahi meri sandclock me thi . mujhe ab pata tha mujhe apna waqt kaha dena he . jaha se mene sab chhod diya tha wahi se meri ek nayi shuruat honi thi , Jab Grandma moses apna naya carrier shuru kar sakti he jab vo 70 sal se bhi jyada umar ki thi . Jab vo apni life me sucessfull ho sakti he jab vo 80 ki hui, meri life mea bhi bhi ummid he jab ki me sirf 30 sal ki hu ..
Radio par chalne wale us program ke khatam hone se pehle hi mene apnw computer par kam karna shuru kar diya tha , vo novel jo mene lagbagh chhod hi di thi .

8 mahine baad meri novel publish hui ...




( based on true story of Liah Kraft-Kristaine)



Thursday, November 15, 2018

what do you want to be ? | Hindi

    Imagination is the highest kite one can fly.
                                                  - lauren bacall

kalpana vo patang he jo sabse oocha ud sakti he ..
                                                               - Lauren Bacall


Monday, November 12, 2018

THE WIND BENEATH HER WINGS | HINDI





           1959 me jab jean harper 3rd standard me thi, tab unke teacher ne , "aap bade hokar kya ban na chahte ho ?'' is subject par ek report banane ko kaha. Jean ke father northen california me ek chote farm community ke fasal duster pilot the, jaha par vo badi hui thi jean puri tarah se airplane chalane ko lekar prabhavit thi. jab teacher ne report card banane ko kaha toh , usne apni dil ki sari bate us report paper me likh di aur apne sare dreams ke bare me usme shamil kiya ,,,
Photo by Danny Trujillo on Unsplash

vo chhati thi crop dust karna , parachut jumping karna , jo usne ( ek TV series SKY KING ke ek episode )me dekha tha . vo ek airline piolet banna chahati thi.


usne jo report paper ek bade se "F" ke sath wapas aya .uske teacher ne use kaha ki tumhara dream ek pari katha he aur kuch nahi , kyu ki us waqt me female k liye airlines me koi naukri nahi thi .
jean ko bhavnic taur par toda aur apmanit kiya gaya tha .....



                   
Photo by Arleen wiese on Unsplash


usne vo paper apne father ko dikhaya . unhone kaha tum ne AMELIA EARHART 
ke bare me to suna hi hoga , offcourse tum ek pilot ban sakti ho ...tumhari teacher ki bato ko dil me mat lo unko nahi pata vo kis bare me keh rahe he ...


Photo by rawpixel on Unsplash

par jaise jaise saal beet te gaye jean ki life me negativity badhti gayi , use 
hamesha demotivate kiya jane laga...jab bhi vo apne carrier ke bare me baat karti use chhup kiya jane laga ...
" girls kabhi pilot nahi ban sakti , kabhi nahi" tum itni smart nahi ho , tum pagal ho 
jo pilot ban na chahti ho ...use tab tak toda gaya jab tak vo har nahi man leti ...akhirkar jean ne har man li ....

Jean jab hight school year me gayi tab unki mulakat unki teacher se hui ...unka name tha 
MRS. DOROTHI SLATON .

mrs. slaton ek uncomprominsing aur demanding teacher thi unhe bahane pasand nahi tha .
vo apne studnets ko bachho ki tarah treat karnae se inkar karti thi aur ummid karti thi ke unke student ek jimmedar mature person ki tarah behave kare..
jean pehle unse darti thi par kuch samay baad vo unki respect karne lagi ..
ek din mrs.slaton ne class ko ek assingment diya jiska subject tha ,"ane wale 10 salo me tum kya karoge?"



Photo by Kelly Sikkema on Unsplash


Jean ne pal bhar ke liye socha 
pilot?? nahi , kabhi nahi , flight attendent? me itni sundar nahi .!!!
wife ??? ," mujh se kon shaadi karna chahega ...

waitress????....," haan , ye sahi rahega me ek waitress banungi "...aur usne assingment me isi topic par likhna start kiya ..kuch samay me hi vo complete ho gaya ...


teacher ne papers collect kiye aur chale gayi....


Two weeks baad unhone wahi paper wapas karte hui kaha ..," ager tumhare pas 
unlimited paise , talent aur ability ho , tum jis school me admission lena chahte ho usme lene ki azadi ho , tum kya karoge?"    
jean ko apne purane sapno ke bare me yaad aya ,usne vo sab us paper me likh diya , jab student ne writing khatam ki tab teacher ne pucha kin kin logo ne dono side me ek hi topic par likha he ? "ek bhi student ne hath upar nahi kiye .." Jean ki life me ye ek turning point tha .mrs.sleton ne kaha ,"mere pas tum logo ko batane k liye ek secret he , vo ye he ki tum jo bhi chahte ho vo achive kar skate ho , tumhare is report paper me jo tumne apne dreams likhe he unhe chive karne k liye tumhe hi kosis karni hogi , tum ek acchhe school ke hakdar ho par vo sab tabhi possible he jab tum apne sapno ke liye ladho ,stuggle karo use pane ki kosis karo bas jitna sab log karte he unse thoda jyada kosis karo , hamesha ye yaad rakho ki tumhare sapne sirf tum pure kar sakte ho aur koi nahi  , koi tumhare liye unhe pure karke nahi dene wala ....

Jean itne salo se jis depression ke badalo se ghiri hui thi ek pal me sab badal hat gaye ..mrs. slaton ki bate ek suraj ki rohni ki tarah uske dimag me ujala la rahi thi. Class khatam hone ke bad vo apne teacher ke pas gayi aur kaha ,"THANK YOU, aur apne pilot ban ne ke sapne ke bare me bataya. teacher ne kaha , tum pilot banna chahti ho ?, toh ban jao"

aur jean ban gayi ,par ye rato raat nahi hua..use bahut hardwork karna pada .use har us opposition ka samna karna pada jo use hamesha nicha dikhane ki kosish karte the, jo uske ek women hone ka majak udaya karte the .use hamesha ye ehsaas dilane ki kosis karte the ki vo kamjor he ...par Jean ne akhir kar apna sapna pura kiya , use 10 saal lage..


Photo by Jon Ly on Unsplash


Vo ek private pilot ban gayi aur fright aur commuter planes udane lagi ,use nessesary rating mili par fir bhiuse hamesha as co-pilot ke taur par hi kam karna padta tha .uske sath kam karne wale pilot and co-workers bhi uske taraf insecurity ki nazar se dekhte the kyu ki vo ek women thi, sab ki isi tarah ki dhakhal ke wajah se useke father ne use salah di ki tum kuch aur try karo ..unhone kaha, "Jean, diwaro par sar patakna band karo ", jean ne kaha ," me har nahi man sakti dad, mujhe vishvas he ki cheeze badal rahi he jald hi diwar tutne wali he "
Jean ko apne 3rd std ke teacher ki bate yaad ayi jinhone kaha tha tumahre
sapne ek pari katha he , jab ki ab usne crop dusting ki, 100 se bhi jyada parachut jumping ki ,agey ja kar usne summer season me as weather modification pilot kam kiya.

1978 me vo sabse pehli 3 female pilot trainee me se ek bani, united airlines dwara unko accept kiya gaya jaha par sirf 50 womens ko select kiya gaya tha...aaj jean BOEING 737 me captain he.



Photo by Amarnath Tade on Unsplash



Hamari life me bhi koi na koi aisa hota he jo hame ye vishwas dilata he ki hum apne sapno ko pura kar sakte he .abilities hum sabme hoti he bas use pehchane ne ki deri hoti he aur uspar vishwas karne ki jarurat hoti he aur jarurat hoti he us insaan ki bato vishwas karne ki ....
AAj jean kehti he ," me apne sapno par belive karti hu ,aur us insaan par bhi jisne mujhe ye ehsaas dilaya ki me inhe pura kar sakti hu ."




kya aap ki life me koi aise he ??? please unhe comment me tag kijiye aur unhe bataiye ki aap unpar belive karte he ,,,,aur apne sapno par bhi ......

how to be confident

Embracing Conour Inner con fidence: Unleashing p otential Introduction: Confidence is like a superpower that can transform your life in rem...