Monday, November 12, 2018

THE WIND BENEATH HER WINGS | HINDI





           1959 me jab jean harper 3rd standard me thi, tab unke teacher ne , "aap bade hokar kya ban na chahte ho ?'' is subject par ek report banane ko kaha. Jean ke father northen california me ek chote farm community ke fasal duster pilot the, jaha par vo badi hui thi jean puri tarah se airplane chalane ko lekar prabhavit thi. jab teacher ne report card banane ko kaha toh , usne apni dil ki sari bate us report paper me likh di aur apne sare dreams ke bare me usme shamil kiya ,,,
Photo by Danny Trujillo on Unsplash

vo chhati thi crop dust karna , parachut jumping karna , jo usne ( ek TV series SKY KING ke ek episode )me dekha tha . vo ek airline piolet banna chahati thi.


usne jo report paper ek bade se "F" ke sath wapas aya .uske teacher ne use kaha ki tumhara dream ek pari katha he aur kuch nahi , kyu ki us waqt me female k liye airlines me koi naukri nahi thi .
jean ko bhavnic taur par toda aur apmanit kiya gaya tha .....



                   
Photo by Arleen wiese on Unsplash


usne vo paper apne father ko dikhaya . unhone kaha tum ne AMELIA EARHART 
ke bare me to suna hi hoga , offcourse tum ek pilot ban sakti ho ...tumhari teacher ki bato ko dil me mat lo unko nahi pata vo kis bare me keh rahe he ...


Photo by rawpixel on Unsplash

par jaise jaise saal beet te gaye jean ki life me negativity badhti gayi , use 
hamesha demotivate kiya jane laga...jab bhi vo apne carrier ke bare me baat karti use chhup kiya jane laga ...
" girls kabhi pilot nahi ban sakti , kabhi nahi" tum itni smart nahi ho , tum pagal ho 
jo pilot ban na chahti ho ...use tab tak toda gaya jab tak vo har nahi man leti ...akhirkar jean ne har man li ....

Jean jab hight school year me gayi tab unki mulakat unki teacher se hui ...unka name tha 
MRS. DOROTHI SLATON .

mrs. slaton ek uncomprominsing aur demanding teacher thi unhe bahane pasand nahi tha .
vo apne studnets ko bachho ki tarah treat karnae se inkar karti thi aur ummid karti thi ke unke student ek jimmedar mature person ki tarah behave kare..
jean pehle unse darti thi par kuch samay baad vo unki respect karne lagi ..
ek din mrs.slaton ne class ko ek assingment diya jiska subject tha ,"ane wale 10 salo me tum kya karoge?"



Photo by Kelly Sikkema on Unsplash


Jean ne pal bhar ke liye socha 
pilot?? nahi , kabhi nahi , flight attendent? me itni sundar nahi .!!!
wife ??? ," mujh se kon shaadi karna chahega ...

waitress????....," haan , ye sahi rahega me ek waitress banungi "...aur usne assingment me isi topic par likhna start kiya ..kuch samay me hi vo complete ho gaya ...


teacher ne papers collect kiye aur chale gayi....


Two weeks baad unhone wahi paper wapas karte hui kaha ..," ager tumhare pas 
unlimited paise , talent aur ability ho , tum jis school me admission lena chahte ho usme lene ki azadi ho , tum kya karoge?"    
jean ko apne purane sapno ke bare me yaad aya ,usne vo sab us paper me likh diya , jab student ne writing khatam ki tab teacher ne pucha kin kin logo ne dono side me ek hi topic par likha he ? "ek bhi student ne hath upar nahi kiye .." Jean ki life me ye ek turning point tha .mrs.sleton ne kaha ,"mere pas tum logo ko batane k liye ek secret he , vo ye he ki tum jo bhi chahte ho vo achive kar skate ho , tumhare is report paper me jo tumne apne dreams likhe he unhe chive karne k liye tumhe hi kosis karni hogi , tum ek acchhe school ke hakdar ho par vo sab tabhi possible he jab tum apne sapno ke liye ladho ,stuggle karo use pane ki kosis karo bas jitna sab log karte he unse thoda jyada kosis karo , hamesha ye yaad rakho ki tumhare sapne sirf tum pure kar sakte ho aur koi nahi  , koi tumhare liye unhe pure karke nahi dene wala ....

Jean itne salo se jis depression ke badalo se ghiri hui thi ek pal me sab badal hat gaye ..mrs. slaton ki bate ek suraj ki rohni ki tarah uske dimag me ujala la rahi thi. Class khatam hone ke bad vo apne teacher ke pas gayi aur kaha ,"THANK YOU, aur apne pilot ban ne ke sapne ke bare me bataya. teacher ne kaha , tum pilot banna chahti ho ?, toh ban jao"

aur jean ban gayi ,par ye rato raat nahi hua..use bahut hardwork karna pada .use har us opposition ka samna karna pada jo use hamesha nicha dikhane ki kosish karte the, jo uske ek women hone ka majak udaya karte the .use hamesha ye ehsaas dilane ki kosis karte the ki vo kamjor he ...par Jean ne akhir kar apna sapna pura kiya , use 10 saal lage..


Photo by Jon Ly on Unsplash


Vo ek private pilot ban gayi aur fright aur commuter planes udane lagi ,use nessesary rating mili par fir bhiuse hamesha as co-pilot ke taur par hi kam karna padta tha .uske sath kam karne wale pilot and co-workers bhi uske taraf insecurity ki nazar se dekhte the kyu ki vo ek women thi, sab ki isi tarah ki dhakhal ke wajah se useke father ne use salah di ki tum kuch aur try karo ..unhone kaha, "Jean, diwaro par sar patakna band karo ", jean ne kaha ," me har nahi man sakti dad, mujhe vishvas he ki cheeze badal rahi he jald hi diwar tutne wali he "
Jean ko apne 3rd std ke teacher ki bate yaad ayi jinhone kaha tha tumahre
sapne ek pari katha he , jab ki ab usne crop dusting ki, 100 se bhi jyada parachut jumping ki ,agey ja kar usne summer season me as weather modification pilot kam kiya.

1978 me vo sabse pehli 3 female pilot trainee me se ek bani, united airlines dwara unko accept kiya gaya jaha par sirf 50 womens ko select kiya gaya tha...aaj jean BOEING 737 me captain he.



Photo by Amarnath Tade on Unsplash



Hamari life me bhi koi na koi aisa hota he jo hame ye vishwas dilata he ki hum apne sapno ko pura kar sakte he .abilities hum sabme hoti he bas use pehchane ne ki deri hoti he aur uspar vishwas karne ki jarurat hoti he aur jarurat hoti he us insaan ki bato vishwas karne ki ....
AAj jean kehti he ," me apne sapno par belive karti hu ,aur us insaan par bhi jisne mujhe ye ehsaas dilaya ki me inhe pura kar sakti hu ."




kya aap ki life me koi aise he ??? please unhe comment me tag kijiye aur unhe bataiye ki aap unpar belive karte he ,,,,aur apne sapno par bhi ......

No comments:

Post a Comment

how to be confident

Embracing Conour Inner con fidence: Unleashing p otential Introduction: Confidence is like a superpower that can transform your life in rem...