Sunday, November 25, 2018

IN HURRY | HINDI | RICH MINDSET BLOGS

      Jab aap apne bachhe ko rainbow dikha rahe hote he tab aap ka work aap ka wait kar sakta he par jab aap work kar rahe hote he tab rainbow aap ka wait nahi karega .
                                                                                - Patrica clafford


               me jaldi me thi .
apne sabse achhey suit pehne hui me rat ko hone wali meeting ke liye ready ho rahi thi. Gillian, mera 4 saal ka beti uske favorite gaano me se ek ,"cool," jo ki west side stories me se tha us par dance kar raha tha.
                     me jaldi me thi, late hone ki deri hone ke bavajud bhi mere andar se ek awaj ayi ,STOP!!
toh me ruk gayi .mene uski taraf dekha. uska hath pakda and use pyaar se utha kar ghumaya. Meri 7 saal ki beti Caitlin, humare pass ayi aur hum me shamil ho gayi, mene use bhi pakad liya aur uske sath bhi khelne lagi.  hum 3no dining room aur leaving room me wild jitterbug (1940 ke dashak me ek tez aur lokpriya dance style) kar rahe the. Hum hasi se lot pot ho rahe the zor zor se awaj karte hue pure ghar me ghoom rahe the.kahi humare padosi hume aise shorgul karte hue na dekh le , iski hume koi parvah nahi thi. vo gaana ek natakiya dhang se khatam hui aur humara dance bhi usi natkiy dhang se hume khatam kiya. mene unhe pyaar se ek thapki dete hui unhe nahane bhej diya.

                     Vo sidiyo par gaye . zor zor se saas lete hue vo divaro se lag kar haste hue chale gaye .Me fir se apne adhure kam me lag gayi. me kuch zarurui kagaj apne brifcase me rakhne lagi tabhi mene awaj suni, vo ,meri sabse choti beti thi jo apne badi behen se kaha,"Caitlin, tumhe nahi lagta ki mommy sabse best he ?
                     Me dang reh gayi jeewan ko safal karne ke is sangharsh me me kitna paas agayai thi , meri nazar un sab chijo par padi un yado par , un sab puraskaro par jo mene kamaaye the , divaro par lage un pramanpatro par jo mene arjit kiye the ...ye un sabhi puraskaro me se sabse bada puraskar tha .."tumhe nahi lagta ki mommy sabse best he ?"
                   meri beti ne ye kaha jab vo 4 saal ki he , mene kabhi ummid nahi ki thi ki vo ye apne 14 ve saal me kahegi . balki uske 40 ve saal me jab vo nichey jhuk kar pine box ke samne ek good bye ke sath ye kahegi meri soul se ..jab shayad me sun bhi  na pau ... par usne ye 4 sal ki umra me kaha ..sayad yahi meri sabse mahatwapurn praman patra he ..

                ye mere resume me fir na ho but me ye mere tomb stone par chahti hu .
                    

No comments:

Post a Comment

how to be confident

Embracing Conour Inner con fidence: Unleashing p otential Introduction: Confidence is like a superpower that can transform your life in rem...