Sunday, January 6, 2019

Swami Vivekananda Quotes & Thoughts to Help Your Inner Wisdom




Swami vevekananda bangal ke rehne wale thee. 12 jan 1863 ko unka janm hua . jawani ke dino me unhone Ramkrushna param hans ji se yog ki diksha li. unke vichar duniya bhar me pohchane ke liye unhone ramkrishna mission ki shuruaat ki, duniya bhar me aaj ramkrishna mission ki bahut si shakhaye he . bharat sarkar ki taraf se unke janam din par YUVAK DIN (youngsters day) ke roop me manaya jata he. 4 jully 1902 is din par swamiji ne is duniya se alvida li. nichey swamiji ke kuch anmol vichar de raha hu ..mujhe ummid he aapko is se bahut hi madat milegi apne aap ko aur behtar insaan banane ke liye.


  • laksha tak pohachne ke liye jago , tab tak ladhte raho jab tak kamyabi nahi milti. 
  • wahi hota he jo aap apne bare me sochte he , ager aap sochengy ki aap kamjor he to aap kamjor ho jayengy ager aap sochte he ki aap majboot he to aap majboot ban jayeng.
  •  samarthy hi jeevan he, aur durbalta mrutyu.
  •  ager aap ek kam kar rahe he toh puri tarah se usi par dhyan kendrit kare baki sab bhul jaye
  •  lakshya ke liye jeena ye laksha ke liye marne se jyada kathin he .karyashakti aur kriyashakti prapt kare. kathin parishram kare .jis se ki laksha ki prapti ho.
  • samarthya ki seema jan ne ke liye samarthata ke agey jana zaruri he. 
  •  din me ekbar apne aap se baat kare , nahi to aap duniya ke ek acchey insaan se milne ka saubhagya kho dengy.  
  •  gati aur vikas hi jeene ke sahi lakshan he , isliye apne vikas kare. 
  •  humara mun humare ladle bete ki tarah hota he , jaise chote bachey sab kuch dene par bhi asantusth rehte he usi tarah humara man bhi asantusth rehta he isliye humare mun ka laad-pyaar kam kare aur use anushashit karne ka prayas kare.
  • achhi pustak ke bina ghar samshanghat jaise pratit hota he.
  • dukhi inssan ki madat karne ke liye badhaya hua ek hath prarthna ke liye jode gaye do hanthose adhik upyukt hota he.
  • yuva avstha me hi kisi bhi kam ki shuruaat karna uchit he. 
  •  apne aap par bharosa rakhe aur ye shristhi aap ke kadmo me hogi.

No comments:

Post a Comment

how to be confident

Embracing Conour Inner con fidence: Unleashing p otential Introduction: Confidence is like a superpower that can transform your life in rem...