Friday, March 8, 2019

REWORK By Jason Fried, David Heinemeier Hansson. | BOOK SUMMARY IN HINDI | part -1


              "REWORK" ye book aap ke liye he . Chahe aap ek hardcore entrepreneur he ya fir chote se bussines ke maalik., koi job kar rahe he ya fir apna koi khud a kam shuru karna chahte he. Is  book me kul mila kar 10 chapters he jo aap ko batayengy ki team building kaise ki jati he aur product kaisa hona chhaiye.
               lekhak ye mante he ki asal zindagi ki bat karna ek bahana he , kyu ki asal zindagi me ye bataya jata he ki aap ke lakho grahak nahi ho sakte.jab tak ke aap zordar advertisement aur sale team na ho , par lekhak ne is manyata ko galat sabit karke dikhaya he.galatiyo se sikhne par bht jyada jor diya jata he , dusre log fail hue he iska matlab ye nahi ki hume bhi fail hone ki zarurat he.
aap apni galatiyo se nahi balki apne success se sikh hasil kare.

ek hbs ek research se pata chala ki jin entrepreneur ko pehle bhi sahalfa hasil hui he .unke dubara safal hone ke 34 % chances hote.is opposite jo log asafal ho chuke he unke safal hone ke bhi utne hi chances hote he jitne un logo ke hote he jinhone abhi tak shuruaat bhi nahi ki.yahi ki 23%.
    long term ke liye bussiness ki planning karna sirf ek kalpna hi he. isy bussiness guesses kaha jana chahiye. kisi bhi ek plan par jame rehne ka nuksan ye he ki isme waqt ke hisab se kam karne ka sabse kam chance hote  he.

aap agle week ke bare me focus kare , agle saal ke bar me nahi .aur jo waqt karib ane wala he us ke hisab se faisla le. aur jis mauke par jis cheez ki zarurat ho usi hisab se kam kare.

growth aur business me kya sambandh he ?

            Kyu ek entrepreneur ko khud ko bada dikhane par majbur hona padta he.sirf agey badhna hi zaruri maqsaad nahi he balki apne wajood ko kayam rakhte hue jyada profit kamana hi asli maqsaad he. jyada kaam karne ki laat lagana bewakufi he .aur ye aap ko kayam rakhne me madat nahi kar sakta. jo log jyada kaam karne ke adi hote he vo is karno se problems ko badhava dete he. vo bekar tarike se kisi problem ka solution dete he kyu ki , vo apne dimagi alaas ko jyada kam karke chupane ki kosis karte he. vo apnjane me apni is adat ke karan problems ko aur badha dete he aur unhe lagta he ki vo koi bht achha kam kar rahe he. voh apne sahkarmi ke moral kam kar dete he. ye ehsaas dila kar ki vo samay par ghar nikal kar sahi nahi kar rahe he.ye apne aap ko perfectionist ke roop me dekhna pasand karte he aur agle task par focus karne ke bajay ek hi kaam ki gair jaruri details me jate rehte he.
Photo by Mubariz Mehdizadeh on Unsplash
              
 "Entrepreneur'' ek bejaan word he. ye kisi khass club ka koi member nahi hota.iske bajay "STARTER" word use karna chahiye.  kisi ke pass idea he thoda confidence he aur shuruaat karne ki chahat he to vo apna business shuru kar sakta he aur usko "STARTER" kahengy.
craglist and the drug report un mesaalo me se he jinhone kamyabi ki unchayiyo ko chhu liya.  Purani chizo me badlav karne ke bajay kuch naya karna chahiye. apni problems ko khud solve karna chahiye. bajay iske ki aap kisi aur ki samashya ka haal dhunde.warna aap andhere me hi reh jayengy.
         dyson vacuum cleaner ek starter ki misaal he jinhone apni samashya ka haal khud dhunda, aap ke idea ki value tak tak nahi ho sakti jab tak aap un par kam karna na shuru kar de.aur tab tak vo sirf ek idea he aur kuch nahi. aur har insaan ke pas koi na koi idea to hota hi he.  idea hona badi baat nahi he vo kafi tadat me ho sakte he aur ve pure business ka ek chota hissa hota he. 

"NO TIME" ye to bas ek bahana he har kisi ke pas time hota hi he , aur aaap ko us ke liye samay nikalna padta he jo aap karna chahte he , khud par yakin kjiye aur kuch krne ke liye tayar rahiye yadi aap aisa kuch nahi karte he jis se ki koi dusra uttejeet ho jaye.  toh aap logo ki nigah me ek sadharan aur boaring insaan ke roop me hi dikhayi dete he. aap ko kisi na kisi cheez ke liye kuch na kuch kar ke dikhana hi padega. 
             Aap ko shuruaat karne ke liye bht sari investment karne ki jarurat nahi he.aap apne idea ko dusro ki funding ke liye dusro ko kyu de dete he? Khud par yakin kijiye aur bina kisi ki madat ke kuch kar ke dikhaiye. Thoda hi kafi he.zara iske bare me bhi sochiye aap ko 10 logo ki zarurat nahi he. aap ko 5 lakh dollors  ke bhi zarurat nahi he.aap is se bhi kam me bht kuch kar sakte he. kam kharch karna achha karm he. ek busines shuru karna jyada behtar he bajay iske ki ek startup ki shuruat ki jaye jo dusro ke paiso se chal rahi ho. apne bhar ko kam rakhe aur active rahe.

Photo by Aman Upadhyay on Unsplash
 asal me log pehle din se hi profit ke bare me chinta karne lag jate he. aisa business jisme profit ka rasta na khoja jaye vo business nahi balki hobby he. aap ko exit karne ki yojna nahi banani chahiye. aap apne shadi ke din apne divorce lawyer se milne nahi jate he. aap ko commiment nibhane ki statergy banani chahiye. dabav aur pareshani ke bich agey badhna achhi baat he. aap ko dekhna he ki aap in sab ke sath kitna agey chal pate he.
      usey bhool jaye jo kam aap ko sahi lagta he ,jaisa ki  kaha jata he ki strategy sacrifies karne ki kala ka naam he. aap us par focus kijiye jo aap ko karna he na ki us par na ki jo aap karna chahte he. 
         Gordon ramsay ka kitchen nightmares isi baat se shuru hota he ki vo fail hone wale restaurant ka menu badal dete he. aap ko ek leader ke taur par kam karna chahiye na ki ek warehouse ke supervisor ke taur par.
ek perfect solution ke liye wait mat kijiye aap ko is ke bare me sochna chahiye "lets think over' it ke bajay iske bare me faisla lena chahiye. "lets decide over it " ko prathamikta dena chahiye. sada agey badhte rehna chahiye. latest trends ke bajay jaruri cheezo par dhyan dijiye. 
     Amazon.com tezz delivery service aur behtar refund policy par apna focus karti he aur yahi baat logo ko sabse jyada achhi lagi he. aur agey bhi pasand ati rahegi aur kabhi waqt ke sath nahi badlegi. prathamikta ko set karna uttsah ke sath kam karne se bhi jyda jaruuri he. aap tiger wood ko ek samanya club me khelne ke liye kahiye, aap dekhengy ki ve waha bhi sabse best player sabit hongy. 
starter ke taur par aap us ke sath shuruaat kare jo aap ke pas maujood he aur jo aap afford kar sakte he.aap jo bhi product banaye us ke sath kuch bacha hua product jarur nikalta he. aise mouke par aap aise hi ek opportunity khoje jaise ki Henry Ford ne kiya. unhone model- T ke production se nikalne wale lakdi ke kachre ko charcoal ke tukdo me badal diya. aur aaj vo Kingsford charcoal ke naam se bhi jana jata he. Abhi launch karne ka irada kare, lekhak ne khud apne product base camp ko bina customer ke billing ke system ke sath launch kiya. kyuki billing cycle monthly thi aur unhe itna confidence tha ki vo 30 din ke andar andar iska solution nikal lengy. Rukavate productivity ke liye dushman ki tarah he. aur meetings zehar ki taha kam karti he. meetings ke liye kuch bandishe lagaye. kam se kam logo ko meeting ke liye bulaye, comference room ke bajay meeting site pa kijiye , kisi solution ke sath aur us plan ko lagu karne ke sath us meeting ko khatam kare. kaam jari rakhiye is se majbooti aur speed bani rahegi..choti choti kamiyabiyan hasil karte rahiye , jyada intazaar mat kijiye.problem ka hamesha koi na koi JUDO solution hota he. aisa solution jo kam effort ke sath jyada efficiency de,  QUIT karna thik he khas kar ke tab jab koi progess na mil rahi ho. .......



...to be continue

No comments:

Post a Comment

how to be confident

Embracing Conour Inner con fidence: Unleashing p otential Introduction: Confidence is like a superpower that can transform your life in rem...